Saturday 26 March 2016

Namaz Mein Dil Lagane Ki Dua

IBADAT MAIN DIL NA LAGNA

NAQSH NO 72 (IBADAT MAIN DIL NA LAGNA): Hamara ye mozu un Afrad k liye hai jo Allah ka Qurb hasil karnay k liye ya Duniavi Preshanion say nijaat k liye Ibadaat ka sahara letay hain lakin Namaz aur deegar Ibadaat karnay k bawajud bhi unhen Dili Sakoon naseeb nahi hota aur wo bayzaar ho kar Ibadat say doori ikhtiyar kar letay hain. Sochnay ki baat to ye hai k Quran E Kareem ki roo say bhi Insan ko dil ka sakoon Ibadaat say hi milta hai.
Bayshak Dilon ka sakoon Allah k zikar main hai (Al-Quran).
Allah ki zaat nay jab khud farmaya k meri ibadat main hi dil ka sakoon hai to phir ye kesay mumkin hai k Insan ibadaat karnay k bawajud bhi ibadat ki lazzat ko mehsoos na kar sakay. Rohani Nuqta nazar say Ibadat main dil na lagnay ki asal waja Insan k apnay Amaal aur Gunah hain aur un hi gunahon ki Napak Lehrain Insan k gird har waqt aik Dairay ki surat main gardish karti rehti hain.

READ%20MORE